Yuvraj Navyavi ki yeh pehli kriti pathakon ko 'Aatm-khoj' ki ore le jaati hai. Isme prem ki komal anubhutiyon se lekar samaj ke naqaab posh chehron tak, aur vidyarthi jeevan ke sangharsh se lekar Maa ke niswarth prem tak—har rang ko bahut hi samvedanshilta se ukera gaya hai.
Yuvaraj Navyavi Rajasthan ke kota zile se aane wale ek samvedansheel aur ubharte hue yuva kavi-lekhak hain. Vartaman mein ve Delhi University se Hindi Sahitya (Hindi Literature) mein M.A. kar rahe hain.
Sahitya unke liye keval padhne-likhne ka madhyam nahi, balki apni anubhutiyon ko samajhne aur duniya ko bariki se dekhne ka zariya hai. Lekhan ki ore unka pehla kadam saal 2023 mein pada—bina kisi tay yojana ke. Shuru mein yeh bas bhavnaon ko kagaz par utarne ka rasta tha, lekin samay ke sath yahi unki pehchan ban gaya.